Sunday, May 18, 2008

Tere hothon ki hansi ban jane ka khwab hai,
Teri aagosh mein simat jane ka khwab hai,
Tu lakh bach le ae mere humsafar,
Ishq ke hathon aasman bankar tujh par cha jane ka khwab hai,
Aajmaish yun to achhi nahi hoti ishq ki,
Tu chahe to teri taqdeer banane ka khwab hai,
Woh maut bhi laut jaye tere darwaje pe aake,
Tujhko aisi zindagi dene ka khwab hai,
Jee bhi lenge agar jeena pada tere bina,
Lekin tujh par mar-mitne ka khwab hai...

Saturday, May 17, 2008



Ek andhera lakh sitare,

Ek nirasha lakh sahare

Sabse badi saugaat hai jeevan,

Nadaan hai jo jeevan se hare

Duniya ki yeh bagiya aisi ,

Jitney kaante phool bhi utne

Daaman mai khud aa jayenge,

Jinki taraf tu haath pasaare

Beete huey kal ki khatir tu

Aane wala kal mat khona

Jaane kaun kahan se aaker,

Raahein teri fir se saanvare

Dukh se agar pahchan na ho tou,

Kaisa such aur kaisi khushiyan

Tufanon se hi tou ladker,

Lagte hain sahil kitne pyare

Ek andhera lakh sitare,

Ek nirasha lakh sahare

Sabse badi saugaat hai jeevan,

Nadaan hai jo jeevan se hare

.

Thursday, May 15, 2008

Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange
Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee
Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange

Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho
Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhalaa Kya Maange

Manzil-e-Dosti Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye
Teri Dosti Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange

Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab
Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange..

.
Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain,

Kyun nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain

Dil wohi rehta hai, yaadon ki An-ginat Parshaiyaan le ke,

Aankhon ki nami shupa kar, nazrein badal jaati hain

Rooh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain,

Bahar aur andar ki kis tarah fizaain badal jaati hain

Koi hota hai rafta rafta zindagi se door, bahut door

Haathon ki yeh lakeerain kyun aksar badal jaati hain !!


.