Wednesday, May 28, 2008


gulshan ki faqat phooloN se nahiN, kaaNToN se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniyaa meiN GHam ki bhi zaroorat hoti hai

ae waaiz-e-naadaaN kartaa hai tu ek qayaamat kaa charchaa
yahaaN roz nigaaheN milti haiN, yahaaN roz qayaamat hoti hai

woh purshish-e-GHam ko aaye haiN, kuchh keh na sakooN, chup reh na sakooN
KHaamosh rahooN to mushkil hai, keh dooN to shikaayat hoti hai

karnaa hi padegaa zapt-e-alam, peene hi padeNge yeh aaNsoo
faryaad-o-fuGHaaN se ai naadaaN, tauheeN-e-muhabbat hoti hai

jo aa ke ruke daaman pe 'Saba' woh ashq nahiN hai paani hai!
jo ashk na chhalke aaNkhoN se us ashk ki qeemat hoti hai



.

Dard apnaataa hai paraaye kaun,
Kaun suntaa hai aur sunaaye kaun,
Kaun dohraaye puraani baaten,
Gham abhi soyaa hai jagaaye kaun,
Vo jo apne hain, kyaa vo apne hain,
Kaun dukh jhele, aazmaaye kaun,
Ab sukun hai to bhoolne mein hain,
Lekin us shakhs ko bhulaaye kaun,
Aaj phir dil hai kuchh udaas-udaas,
Dekhiye aaj yaad aaye kaun,
Dard apnaataa hai paraaye kaun,
Kaun suntaa hai aur sunaaye kaun,


.

Thursday, May 22, 2008


zyada na thi hasrate dil ki,

chaha tha bus thodi si khushi milti,

wo chand khushiya bhi hame alvida kah gaye,

yu lagata hai zamane ki nazar lag gaye,

zindgi me har kadam par dhokha khaya,

jo chaha tha wo khabhi na paya,

hamari kismat bhi hame daga de gaye,

zindgi ki sari khushiya chura le gaye,

aab to dil ek khwahish se bhi darta hai,

har ghadi ,har pal ,har saans ke saath marta hai.