Wednesday, September 3, 2008
Sunday, June 29, 2008
us nai kaha tum main pehli si baat nahi
main nai kaha zindagi main tera sath nahi
us nai kaha u bhi kisi ki ankh main doob jate ho
main nai kaha ub kisi ankh mian wo gaihrai nahi
us nai kaha kyoon itna toot k chaha mujhe
main nai kaha insan hoon pathar to nahi
us nai kaha kiya main bewafa hoon
main nai kaha mujhe ub wafa ki talash nahi
us nai kaha bhool ja mujhe
main nai kaha tum haqeeqat ho koi khawb to nahi
.

Tu hai gar mujh se khafaa khud se khafaa hu mein bhi
mujh ko pehchaan ki teri hi adaa hu mein bhi
ek tujh se hi nahin fasl-e-tamannaa shaadaab
vahi mausam hu vahi aab-o-hawaa hu mein bhi
chaand ban kar tere aangan mein utar hi jaau
raat ke pichle pehar maangi Dua hu mein bhi
yun na murjha ke mujhe khud pe bharosaa na rahe
pichle mausam mein tere saath khilli hu mein bhi
jaane kis raah chalu kaun se rukh murr jaau
mujh se matt mil ke zamaane ki hawaa hu mein bhi

Wednesday, May 28, 2008
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !
Hawain tez thi, baarish bhi thi, toofan bhi tha, lekin,
Tera aisay mein bhi vaada nibhana yaad aata hai !
Guzar chuki thi bahut raat baton baton mein,
Phir uth kay woh tera shama bhujana yaad aata hai !
Ghatain kitni dekhi hain par mujhay `Israr',
Kisi ka rukh par woh zulfain giraana yaad aata hai !

Subscribe to:
Posts (Atom)