Tuesday, April 22, 2008

●●● ஈi౭нอπד ●●●

●●● ஈi౭нอπד ●●●



>>>>> WO HOON MAIN <<<<<

Hatheli samne rakhna,

Ke sub anshu girein us mein,

Jo ruk jaega honton per,

Samajh jana ke Wo Hoon Main….

Kabhi jo chand ko dekho,

To tum yun mushkura dena,

Jo chal jaye hawa thandi,

To ankhein bund ker lena,

Jo jhonka tez ho sub se,

Samajh jana ke Wo Hoon Main….

Jo zyada yaad aaun main,

To tum ro lena ji bhar ke,

Agar hichki koi aye,

Samajh jana ke Wo Hoon Main….

Agar tum bhoolna chaho,

Mujhe shayad bhula do tum,

Magar jub saans tum lena

samajh jana ke Wo Hoon Main....


**************************

http://youtube.com/watch?v=FytT1-znmhI


Utha k Hath kya mangu khuda se.
Nahi kuch bhi hasil ab dua se..
Ab apne housalon pe hai bharosa.
Nahi ummid koi nakhuda se..
Hawao se na ghabrao chiragon.
Wajood salamat hai apna hawaon se..
Mukarne k liye karte hain wada.
Main wakif hun bahut unki adda se..
Mile hain gum to mujko umra bharke.
Mile par pyar k lamhe jara se..
Bharosa rakh abhi jane de "jaan".
Main laut aaunga teri ek sada se..

.



Mom ki tarah pighalta dekha usko,


rut jo badli badalte dekha usko...

wo jo kanto ko b narmi se chhua krta tha,

hamne pholon ko masalte dekha usko...

jane kis gam ko chhupane ki tamanna hai use,

aaj har baat pe haste hue dekha usko...

jane wo mangne jata hai duaon me khuda se.

hath uthate he sisakte dekha usko... .