Thursday, February 4, 2010

sochta hoonkhat me ik nazm likhketumhe mere khayaaltohfe me bhej doon
likh doon
kaisehar subahmain tumhare sapne sambhaalke,utaarta hoon aankhon seaur takiye ke neechechhipa deta hoon(haan,wahi khaab,jo betaab se kaanpte rahte hainaankhon me raat bharaur kabhi kabhidin ke beech-o-beech)
kaiseintezaar melamhon ka hisaab lagaata hoonto pahron pe shikan se ban jaate hain
kaisemain ajnabi lafzon serishte jodta rahta hoonjudaa se lahje pahankenikalta hoonaaj kal har kahin
kaisekhwahishon ke kaafileummeed liye mere dar khade rahte haijab din ke paar utarta hoonto us paar bhi mil jaate hai
kaisehawaayen saazish kar jaate hainaur jab main bekhud sa baitha rahta hoonbaraamde meto tumhari mahak sa bikher dete hain
kaisemuhabbat se fursat nahin milti
kaiserooth-ne ko jee karta haike tumhare khayaalik chote waqfe ko bhitanha nahin chodte mujhe
sochta hoonmere haal-o-harkatalfaazon me baandhkebhej doon tumhe ik khat me
mujhe pata haitum mujhse bandhilafzon ke gaantkhol nahin paaoge
mujhe pata hai...tum bas mujhe phone karogeaur udaas sa chehra banate hue kahoge"Sweetie, you know I can't read Hindi"
par mujhe ye bhi pata hai,ke tum apne fridge pe lagaakeyaa apne jeb me rakh-keis khat ko dekhogebaar baar shab-o-roz;aur chuu-chuu keis peeli si kaagaz komera naam logeaur muskuraaoge...
bas isi liye sahi,sochta hoonaaj tumhe ik khat likh doon