Thursday, December 25, 2008




Kya khabar tum ko dosti kya hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon se bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ek heera bhi hai


Dosti ek haseen khwab bhi hai
Pass se dekho to sarab bhi hai
Dukh milne pe yeh azaab bhi hai
Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai


Dosti yoon to maya jaal bhi hai
Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai


Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jai to kassak bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai


Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kya hai wafa bhi dosti hai
Dil se nikli Dua bhi dosti hai
Bas itna samajh lo tum
Pyaar ki inteha bhi dosti hai.........!!

.
ye saza bhi kabul hai bas mujhko meri khata bata dena,
zinda hu mai ab talak,aa kar kabhi mujko jata dena,
bhul aaye hai khud ko teri chahat ki galiyo me kahi,
kabhi milo mujhse toh mujhko mera pata bata dena....

.
Aaj ki raat, kal ki raat sey kuch juda to nahin,
main bhi wohi hoon, meri soch wohi, wohi shayari meri,
aur yeh kalam bhi wohi….
phir kyon naa kal yeh khayal aaya ki,
ghazal tere tasavuur bina kuch bhi nahin,
dard nahin jo ismey to yeh dava bhi nahin.
Tanhai hai ismey, mehfil ki shanaasaai nahin,
saaj hai ismey magar goonj-e-sehnaai nahin…..
Merey chandaa, teri chaandni key paas
kuch lafaj hai tute hue,
jo jud gaye yeh to samjho haal-e-dil bayan hua…
Kismat main meri wohi Intezaar purana likha shayad,
jo mil jao tum to samjhein gey kuch naya hua...

.