Thursday, May 15, 2008

Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange
Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee
Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange

Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho
Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhalaa Kya Maange

Manzil-e-Dosti Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye
Teri Dosti Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange

Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab
Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange..

.
Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain,

Kyun nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain

Dil wohi rehta hai, yaadon ki An-ginat Parshaiyaan le ke,

Aankhon ki nami shupa kar, nazrein badal jaati hain

Rooh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain,

Bahar aur andar ki kis tarah fizaain badal jaati hain

Koi hota hai rafta rafta zindagi se door, bahut door

Haathon ki yeh lakeerain kyun aksar badal jaati hain !!


.


~A Dil Bus Ab rona nehi~

A dil Rona nehi hai
kase samjhaoo ka rona nehi hai
Rona wale ko yeh duniya
Aur rolati hai
A dil-e-masoom tu na ro
bohat ro liya hai
Ab tu na roo kyon kai yeh duniya
Rona wale per hasti hai

ab to samajh ja A dil-e-masoom
jo chala gaya hai wo lot kar ata nehi hai

har taraf tanhai hai
har taraf andahra hai

du'a main bus maine us ko maanga hai
wo bhi majhey na mila hai

phir bhi tum majh se kahte ho rona nehi hai
es waqt puri duniya majh per has rahe hai

dil rona ko chah raha hai
aur tum kahte ho rona nehi hai

joutha khwab dhekatee rahe tum
majhey ab kio khwab nehi dhekna hai

yeh duniya dhoka se bhari hai
majhey es duniya mein ab nehi rahna hai

har kio jate jate lambi umar ki dua dai jata hai
du'a dai kar majhey apna fiyda ka liye estamal kar ka chala jata hai
majhey zindagi se kio shikyaat nehi hai
majhey to es zindagi nai sab kuch deya hai

shikyaat to bus apna naseeb se hai
kyon ka sab kuch mil kar bhi koh gaya hai
apni takqeer hi karab hai
jo use hasil kar
Kuch baate bhuli hui,
kuch pal beete hue,

Har galti ka ek naya bahana,
aur fir sabki nazar me aana,

Exam ki puri raat jagna,
fir bhi sawal dekhake sir khujlana,

Mauka mile to class bunk marna,
fir doston k sath majje marna,

USKI ek jhalak dekhane roj college jana,
usko dekhte dekhte attendance bhul jana,

Har pal hai naya sapna,
aaj jo tute fir bhi hai apna,

Ye college ke din,
In lamho me jindagi jee bhar ke jeena,

Yaad karke in palon ko,
Fir jindagi bhar muskurana

ab na aenge wapis ye din,
bas yade lekar hi he jana


.
Kabhi ro k muskraye, kabi muskra k roe
Uski yaad jab b ayi, ushe bhula k roe,
Ek uska hi nam tha, jise hazar bar likha,
jitna likh k kush hue, usse jiyada mita k roe

.
Sirf Chahne Se Koi Baat Nahi Hoti,
Suraj Ke Samne Kabhi Raat Nahi Hoti,
Hum Chahte Hai Jinhe Jaan Se Bhi Jyada,
Wo Samne Hai Par Baat Bhi Nahi Hoti......


.
Aik Lakeer Terey Naam Ki
kuchh udas kuchh khamosh
kuchh bebas si lakeerien mere
haath ki?
Dhundti rehti hun aksar in lakeeron main
Ek lakeer tere nam ki
Kuchh malum bhi hey
Kuchh dil bhi janta hey
Ke in lakeeron me koi lakeer nahi tere naam ki
Phir bhi naa jane keyon dhundti Rehti hun
Aksar ek lakeer tere naam ki
Ek lakeer
tere naam ki....

.
hansate hansate dil mein dard hone laga hai mujhe,
aaj chand aansoo palkon se girane ki tammanna hui,

hai khamoshi bahut is kali aandheri raat ke sitaron mein,
kuch sunapan iske seene se churane ki tammaanna hui,

ek masoom sa shaks hai jisne dil toda hai mera,
us aadmi se phir dil lagane ki tammannna hui,

yun toh saare khawab toote hi aaye hai aankhon mein,
kuch toote hue sapne par in nighaan ko phir pirone ki tammanna hui,


.