Wednesday, May 28, 2008

Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !

Hawain tez thi, baarish bhi thi, toofan bhi tha, lekin,
Tera aisay mein bhi vaada nibhana yaad aata hai !

Guzar chuki thi bahut raat baton baton mein,
Phir uth kay woh tera shama bhujana yaad aata hai !

Ghatain kitni dekhi hain par mujhay `Israr',
Kisi ka rukh par woh zulfain giraana yaad aata hai !

Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !


.

gulshan ki faqat phooloN se nahiN, kaaNToN se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniyaa meiN GHam ki bhi zaroorat hoti hai

ae waaiz-e-naadaaN kartaa hai tu ek qayaamat kaa charchaa
yahaaN roz nigaaheN milti haiN, yahaaN roz qayaamat hoti hai

woh purshish-e-GHam ko aaye haiN, kuchh keh na sakooN, chup reh na sakooN
KHaamosh rahooN to mushkil hai, keh dooN to shikaayat hoti hai

karnaa hi padegaa zapt-e-alam, peene hi padeNge yeh aaNsoo
faryaad-o-fuGHaaN se ai naadaaN, tauheeN-e-muhabbat hoti hai

jo aa ke ruke daaman pe 'Saba' woh ashq nahiN hai paani hai!
jo ashk na chhalke aaNkhoN se us ashk ki qeemat hoti hai



.

Dard apnaataa hai paraaye kaun,
Kaun suntaa hai aur sunaaye kaun,
Kaun dohraaye puraani baaten,
Gham abhi soyaa hai jagaaye kaun,
Vo jo apne hain, kyaa vo apne hain,
Kaun dukh jhele, aazmaaye kaun,
Ab sukun hai to bhoolne mein hain,
Lekin us shakhs ko bhulaaye kaun,
Aaj phir dil hai kuchh udaas-udaas,
Dekhiye aaj yaad aaye kaun,
Dard apnaataa hai paraaye kaun,
Kaun suntaa hai aur sunaaye kaun,


.