Wednesday, April 23, 2008

ye dil udaas hai buhat koi peghaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do

meri qismat me gham-e-tanhai hai lekin
tamam umar na likho magar ek shaam hi likh do

ye janta hoon k umar bhar tanha mujh ko rehna hai
magar pal do pal, ghari do ghari mere naam hi likh do

chalo hum maan letay hain saza k mustahiq tehray
koi inaam na likho, koi ilzaam hi likh do

ye dil udaas hai buhat koi peghaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do


.
Band Ho Gayi Hain Mulakatein Bhi,
Nahi Hoti Ab Tumse Baatein Bhi,
Kaise Kaatun Din Tumahre Bageir?
Nahi Katti Ab Jas Ki Raatein Bhi…

Tum Ik Badli Ke Jaisi Thi,
Aayi, Barsi Aur Chali Gayi,
Kuch Main Na Raha Pehle Sa,
Kuch Thi Tum Bhi Badal Gayi…

Baatein Bahut Karni Thi Tumse,
Tum Chup Rahi Aur Na Maine Kahi,
Hota Tha Pyar Ke Liye Waqt Kabhi,
Ab Woh Waqt Bhi Raha Nahi…

Mere Bas Mein Hota To Rok Leta Waqt Ko,
Tumahri Yaadon Ko Main Khone Nahi Deta,
Shayad Rooth Gaya Rabb Bhi Mujhse, Warna
Meri Zindagi Ko Mujhse Juda Hone Nahi Deta…


.
tere anjumane dile halat ki khabar rakhta hu,

tere dil se bulane tak dil mein sabar takhta hu.

sham hote hi tera chilman ban jata hai paristan,

us paristan ki hifazat main rat bhar rakhta hu.

ye jalta hua chirag aaj bhi humare pyar ki gawahi deta hai,

ye wahi chirag hai jo main teri nazre kabar rakhta hu.