Wednesday, April 30, 2008

Un Dino Jab ke Tum The Yahaan....


Zindgi jagi-2 si thi


Saare mousam bade meharbaa dost the..


Raaste dawatname the ..


Jo manjilon ne likhe the humare liye...


Ped baahein pasaare khade the ..


Hume chhaon ki shaal pehnane ke liye


Bahut muskuraate the jab vo dekhte the hume..


Aati jati hawaye koi geet khushbu ka gaati hui...


Cheerti thi aur Gujar jati thi...


aasmaa pighle neelam ka gehra talab tha


Jisme har raat ..


Ek chand ka phool khilta tha aur ...


Pighle neelam ki lehron me behta hua


Vo humare dilon ko chhoo jata tha...


Un Dino Jab ke Tum The Yahaan

.

Hazaro fulon se sajaayi gayi hain meri kabr
Ek phool ki mahak kafi thi jab tak tha zami par

Utha lete the kal jo log apne shabdo ke zor par
Utha nahi paye apne kandhe ke zor par

Zukam de jaate hein ye thande ashq mere kafan ko bhigo kar
Bade garm the ve ashq jo sukh jaate the mere dilko bhigokar

Diya jalaakar aaj jo chale jaate hein meri kabr par
kambhaqt saath rehkar to jalte the jab tak tha zami par


Dard apnaataa hai paraaye kaun,

Kaun suntaa hai aur sunaaye kaun,

Kaun dohraaye puraani baaten,

Gham abhi soyaa hai jagaaye kaun,

Vo jo apne hain, kyaa vo apne hain,

Kaun dukh jhele, aazmaaye kaun,

Ab sukun hai to bhoolne mein hain,

Lekin us shakhs ko bhulaaye kaun,

Aaj phir dil hai kuchh udaas-udaas,

Dekhiye aaj yaad aaye kaun,

Dard apnaataa hai paraaye kaun,

Kaun suntaa hai aur sunaaye kaun,


.






Thukra ke usne mujhko,

kaha ki muskuraao!


Maine has diya,

aakhir sawal uski khushi ka tha.

Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,

Usne khoya wo jo sirf usi ka tha.



.

Zakhmo ko na kuredo hare ho jayenge,
mil jaayenge gham aur vo bahut yaad ayenge

Kitne gehrey hain zakham is dil ke ,
milonge jo humse tu hum batayenge

Dar hai kahi ye zakham nasoor na banjayee,
karde unhey jo be asar , wo marham kahan se layenge

Humdard nahi milta zamane main koi,
Mast~ ko mile jo koi , dard-e-dastaan sunayenge

,