Monday, May 19, 2008

mera khuda har roz mujhe nayi khushiya deta hai
shadman woh mujhe to bana deta hai
jab hoti hai koi baat galat mujh se
main karti nahi ho jata hai jab kaam galat mujh se
mera khuda bigde huye mere kaam bana deta hai
shadman woh mujh ko bana deta hai
jab bhool main jati hoon kabhi teri baaton ko
aur neend se uth jati hoon ghabra ke raaton ko
mera khuda aa kar mere sapno ko saja deta hai
shadman woh mujh ko bana deta hai
jab gair ho jate hain kabhi aise hi khafa mujhse
aur dost bhi kar jate hain aise hi jafa mujhse
woh pyar ki phulwari se meri rahon ko saja deta hai
shadman woh mujh ko bana deta hai

Mohabbat ne aaj humko rula diya..
Jis par marthe the usne hi hamain bhula diya...
Hum bhi uski yaad mitane ke liye peete gaye...
Bewafa ne usmain bhi yaadon ka zaher mila diya...


Yeh kis tarah yaad aarahe ho..
Aankhen band hain fir bhi nazar aarahe ho...
Najaane kyun aisa lagta hain humko...
jaise hum kahde hain aur parchayi main tum nazara aarahe ho...



Gaalon par aansuon ki lakir si bangayi..
Socha na tha kabhi.. aisi taqdeer bangayi..
Humne to reth main firayi thi apni ungliyan...
Ghaur se dekha to uski tasweer bangayi...